Nahin minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan merii,
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan merii,
Ye dastuur-e-zabaan-bandii hai kaisii terii mahafil mein,
Yahaan to baat karne ko tarastii hai zabaan merii,
Uthaaye kuch varaq laalaa ne kuch nargis ne kuchh gul ne,
Chaman mein har taraf bikharii huyii hai daastaan merii,
Uraa lii qumariyon ne tootiyon ne andaliibon ne,
Chaman vaalon ne mil kar looT lii tarz-e-fugaan merii,
Tapak ai shama aansuu ban ke parvaane kii aankhon se,
Saraapaa dard hoon hasrat bharii hai daastaan merii,
Ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaan duniyaa mein rahne kaa,
hayaat-e-jaavidaan merii na marg-e-naagahaan merii....

No comments:
Post a Comment